Hello friends Techunid me apka welcome hai.aaj ki hamari post hai computer se paise kaise kamaye.agar apke paas computer hai to aap apne ghar par hi computer par kaam karke bahut achi earning kar sakte hai.aaj ka hamar yahi topic hai ki computer se paise kaise kamaye.
Vese to computer se paise kamane ke apko bahut tarike mil jayenge lekin ham apko 2 aise tariko ke bare me batayenge jo bahut hi popular hai aur ye google ke dawara free service hai.isme apko kuch bhi invest karne ki jarurat nhi hai.google hamko free service provide karta hai jiske jariye log ghar bethe lakho rupees kama rahe hai.maine jo apna experience kiya hai uske hisaab se mai aaj ye post likh raha hu ki computer se paise kaise kamaye.Paisa kamana koi bhi mushkil kaam nhi hai bas apko mehnat karne ki jarurat hai.ham apko 2 aise tarike batayenge jinme apko paisa to milega lekin apko naam bhi milega.isme log apko janenge aur in tariko se aap ghar bethe hi paisa kama sakte hai.vo apki mehnat par depend karta hai ki aap kisi kaam ko karne me kitni mehnat karte hai.chaliye jante hai computer se paise kaise kamaye
Computer Se Paise Kamane Ke Liye Kya Kya Chahiye
1.Computer
2.Internet Connection
Computer Se Paise Kaise Kamaye
Method 1:-
Computer se paise kamane ka pehla tarika hai aap blogging start kare.google ki ek free service hai blogger jispar aap apni free website bana sakte hai.aap google ki free service blogger par apni website banakar meri tarah jankari share kar sakte hai.agar aap meri tarah apna experience apni site par share karenge to aap bahut acha paisa kama sakte hai.aap meri tarah apne blog me posts likh kar bahut achi earning kar sakte hai.ye google ki bilkul free service hai.
Aap apni site me jo bhi likhenge aur jab koi admi google me vo chij search karega to google apki likhi huyi post uske samne la dega.aise aap apni free website banakar aur daily new jankari share karke bahut achi income kar sakte hai.jaise jaise apki site ko daily ache view milne shuru ho jayenge vese vese apki income honi start ho jayegi.
Blogger ke bare me jayada jankari ke liye aap hamari ye post read kare.isme hamne blogger ke bare me puri jankari di hai.
Method 2:-
Blogger ke baad google ki dusri free service hai youtube.ji ha aap youtube se bhi bahut acha paisa kama sakte hai.aap youtube par apni videos dalkar bahut achi income kar sakte hai.aap bilkul free channel bana sakte hai youtube par aur iske liye koi paisa nhi lagta hai.youtube ser bhi log lakho,crodo ki income kar rahe hai agar apko achi videos banate hai aur usko youtube par upload kar dete hai to agar apki videos viral ho jati hai matlab bahut ache views hone lagte hai tab apko income milni starrt ho jayegi.
Youtube ne ab apni polici badal di hai bahut strict policy ho gayi hai youtube ki.iski ek policy mai apko bata deta hu ki jab tak apke channnel ko 1000 subscriber nhi hote tab tak aapko inmcome nhi milegi.uske baad apko income milni start ho jayegi.1000 subscriber lana koi mushkil kaam nhi hai
Ab ham apko bata dete hai ki jab aap blogger ya youtube par kaam karenge tab apko paisa kaha se milega.
Paisa Kaise Milega Youtube Ya Blogger Se
Jo money hoti hai vo doller me milti hai.isliye google apko ek adsense account kholkar deta hai jaha par apki sari income aani start ho jati hai.aur fir aap google adsense account se bank account me paise transfer kar sakte hai.
Aap chahe blogger par kaam kare ya fir youtube par dono me hi google apko adsense account provide karta hai.
To ye 2 Google ki free service hai jinpar aap kaam karke bahut achi income kar sakte hai.lakho rupees aaj log kama rahe hai in2 plateform se.apko bas in dono me se jo bhi acha plateform lage aap vo choose kijiye.ye job se kahi jayada acha hai aur isme ap par kisi ka koi dabav nhi hota hai.
To friends is post me hamne bataya ki computer se paise kaise kamaye.agar aap ghar bethe computer se paise kamana chahte hai to ye 2 badiya plateforms hai paisa aur naam kamane ke.to kaise lagi apko hamari ye post computer se ghar baithe paise kaise kamaye.comment karke jarur bataye aur agar apko kuch bhi puchna hai to neeche comment box me comment kar sakte hai.
0 Comments